apne safar mein tujh ko kai bar dekh kar
rukta raha main rasta dushwar dekh kar
shayad use pasand na aae ye sarkashi
shayad wo rok le mujhe is bar dekh kar
jata hai dil hamara bhi ho kar haris-e-zakhm
us khub-ru ke hath mein talwar dekh kar
lab par hamare zabt ka tha qufl-e-khamushi
aur aankh mein sukut tha inkar dekh kar
haq par khada hun aur main haq ke liye lada
mukre na koi mujh ko sar-e- dar dekh kar
Poet : Sayed John Abas Kazmi